Ye Waqt Bhi Kitna Zalim Hai I tne baras ki doori aur mehjoori ke afsoon-e-safar mein lipta huwa ik shakhs achanak aan mila main usko dekh ke shashdar tha wo mujh se sawa hairan mila (ye waqt bhi kitna zaalim hai is hijr mein kia kia roye the ham is yaad mein kia kia khoye the ham) kuch der to donon chup se rahe phir usne kaha "tum kaise ho?" aur maine kaha "bas achha hoon" phir usne kaha "ye itne dinon ke baad ka milna khoob raha koi purana dost mile to dil ko bhala sa lagta hai ye sheher to bilkul badal gaya..... ab chalti hoon" phir maine kaha "main shaam samay har roz yahan par aata jab waqt mile tum aajana is waqt mujhe bhi jaldi hai..... ab chalta hoon" ye waqt bhi kitna zaalim hai . |