Bazeecha-e-Atfaal Hai



B aazeecha-e-atfaal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

Hota hai nehaan gard mein sehra mere hote
Ghista hai jabeen khaak pe darya mere aage

Mat poochh ke kia haal hai mera tere peechhe
Tu dekh ke kia rang hai tera mere aage

Imaan mujhe roke hai jo kheenche hai mujhe kufr
Kaaba mere peechhe hai kaleesa mere aage

Go hath ko jumbish nahin aankhon mein to dam hai
Rehne do abhi saaghar-o-meena mere aage

Ik khel hai aurang-e-sulemaan mere nazdeek
Ik baat hai ejaaz-e-maseeha mere aage

Juz naam nahin soorat-e-aalam mujhe manzoor
Juz waham nahin hasti-e-ashyaa mere aage

Sach kahte ho khud-been-o-khud-aaraa hoon na kyon hoon
baitha hai but-e-aayina seema mere aage

Phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
Rakh de koi paimaana-e-sahbaa mere aage

Nafrat ka gumaan guzre hai main rashk se guzraa
kyon kar kahoon lo naam naa us kaa mere aage

Aashiq hoon par maashooq-farebi hai mera kaam
Majnoo ko buraa kehti hai lailaa mere aage

Khush hote hain par wasl mein yoon mar nahin jaate
Ayee shab-e-hijraan ki tamannaa mere aage

Hai maujzan ik qulzum-e-khoon kaash! yehi ho
Aataa hai abhi dekhiye kia kia mere aage

Ham_peshaa-o-ham_mashrab-o-ham_raaz hai meraa
'Ghalib' ko buraa kyon kaho achchhaa mere aage
.