Use Apne Farda Ki Fikr Thi U se apne farda ki fikr thee jo mera waaqif-e-haal tha wo jo uski subh-e-urooj thee wohi mera waqt-e-zawaal tha mera dard kaise wo jaanta meri baat kaise wo maanta wo to khud fanaa ke safar mein tha use rokna mahaal tha kahan jaaoge mujhe chhor kar main ye poochh poochh ke thak gaya wo jawab mujhe na de saka wo to khud saraap sawaal tha dam-e-waapsi use kia huwa na wo roshni na wo taazgi wo sitaara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misaal tha wo mila to sadiyan ke baad bhi mere lab pe koi gilaa na tha use meri chup ne rulaa diya jise guftugoo mein kamaal tha mere saat lag ke wo ro diya mujhe faqat itna hi keh saka jise jaanta tha main zindagi wo to sirf wehm-o-khayaal tha . |