'Huroof' kia hain! Kuchh aari tirchhi be-tarteeb lakeerein ya is se siwa bhi? Kaun
jana ke inka 'Maanon' se 'Talaffuz' se koi taalluq hai bhi ke nahin!! Ham ise bayaan
karte hain ya ye hamein bayaan karta hai? Isi ta'alluq ki bunyad par 'Kalam-e-Ilahi'
qayam hota hai. Har kaam ki ibteda ham hi Rahman ke pak naam se nahin karte,
Safha-e-Hasti par ibteda bhi kuchh 'Khutoot' se hoti hai jo mubham hain, jo jaane
'Khutoot-e-Hurf' hain ya 'Khutoot-e-Paiker'! (Ref. Title: The Word of God; Arabic:
Kalimatullah) Haan jo baat yaqeeni hai aur mubham nahin wo ye ke iske maane hain
'Khuda' (Ref. The Gospel of John 1:2). Yehi hai Wujood-e-Hasti mein pehla zahoor,
aik khat-e-mustaqeem ka pehla nuqta jo khud aakhri bhi hai. Kia aisa khat-emustaqeem
mumkin hai jiske donon kinare aapas mein milte hon? Ta'ajjub-angez hai
ke ham wo dekhte hain jo dikhta hai wo nahin jo hota hai.
Najaane log 'Bismi-llah-ir-Rahman-ir-Raheem' ki Nizaam mein karfamayee samajhte
bhi hain ke nahin! Kia kisi nizaam ki ibteda baghair Wujood-e-Khuda sabit hoti hai?
Kia aapke ilm mein nahin aata ke aaj bhi jab qadeem-tareen bastiyon ke nuqoosh
zameen ke seene ki gehraaiyon se sar uthaate hain to unki aaghoshe-e-daaman mein
aik shai zuroor nazar aati hai aur wo hai 'Moortiyan'. Qadeem-tareen Sahayaf jo
Khuda ke hone ka zikr karte hain wo hain Kutub-e-Hunood. Husool-e-Khabar to
door ki baat, kia Ahsaas-e-Wujood-e-Khuda bhi bagahir Targheeb-e-Khuda mumkin
hai? Sochiye! aik haiwaan jo is la-inteha Kainaat mein zameen jaisi uthaa gehraaiyon
aur andheron mein 'jahaalat' ki ghutan ke sath aankh kholta hai, jo apne atraaf ke
baare mein to kia apne baare mein kuchh nahin jaanta, jiske khayal ki parwaaz ki had
'ghizaa' tak hai, use aik din Khuda ka khayal aata hai!! Kia ye mo'jizaa nahin? Kia ye
Nateeja-e-Wahi nahin? Ye jaanne ke bawajood ke Khuda ka Paigham pehle insan ko
ataa huwa, ham doosre insan ko is Paigham se khaarij karte hain! Yaqeenan aap
Adam ka ta'alluq usi tehzeeb se joreinge jo qadeem-tareen hai na ke jadeed-tareen.
Adam-o-Hawwa kaun the? Adam ki 'mitti' se khalqat zameen par huwi ya asmaanon
mein? Jannat se 'neeche' utaare jaane ka kia matlab tha? Is mazmoon mein main us
hairat-angez raaz se pardah uthaoonga jo abhi tak seegha-e-raaz mein hai.
Tawrah bayaan karti hai ke Khuda ne jis Baagh-e-Adn mein Adam-o-Hawwa ko
rakha wo zameen ke Mashriq mein tha (The Book of Genesis 2: 8-14). Is Baagh se
chaar darya behte the jo zameen ke Maghrib ko sairaab karte the (1) Pishon, (2)
Gihon, (3) Dijlah aur (4) Furat. In mein se do darya, Dijlah aur Furrat, aaj bhi
maujood hain lekin Pishon aur Gihon ke aasaar mit chuke hain. Ye darya jis taraf se
behte hain wo Sarzameen-e-Hind hai. Aasaar batate hain ke darya Pishon ka taalluq
Ahl-e-Pashtoon se tha. Mash'hoor Yahoodi Tareekh-dan Flavius Josephus ke
mutaabiq ye qadeem Pishon Hind ki Ganga hai. Jadeed Arab Muhaqiqeen ke
mutabiq lafz 'Gihon' ka taalluq dar'asl Afghan aur Uzbek zabanon se hai jahan ye
darya baha karta tha aur ye ke jis 'Cush' ke ilaaqe se ye guzarta tha wo 'Cush'
Ethiopia ka nahin Hind ka 'Hindu-Kush' hai. Teesre aur chauthe darya Dijlah aur
Furrat se aap waaqif hi hain. Ye waazeh hai ke ye donon Iraaq se nahin nikalte balke
guzarte hain. Bagh-e-Adn ke Hind mein hone ke beshumar shawaahid maujood hain
jinko darpardah rakha jata hai maslan: Zameen ka Mashriq Hindustan hai jahan
Khuda ne Jannat ka Bagh lagaya, Isi Jannat mein Khuda ka Noor Basoorat-e-Shiva
pehli baar ba-rooy-e-Adam Himaliya ke buland Pahaaron par zaahir huwa jaisa ke
baad mein Moosa ke saamne Kauh-e-Tur par zaahir huwa. Adam's Peak Sri-Lanka
mein hai jahan aik paaon ka nishan maujood hai, jo ke Hinduon ke mutabiq Shiva ka,
Buddhist ke mutabiq Budhha ka, Muslim ke mutabiq Adam ka hai. Kia ye mumkin
nahin ke jis Rasool ka Nishan-e-Paa Samri ne Kauh-e-Tur ke paas dekha wo aasaar
isi Na-Khuda ke hon? (Qur'anic Ref 20: 96) Kia wo Buland Muqam-e-Jannat, jahan
se Ahl-e-Jannat ko neeche utar jaane ka hukum huwa, Himaliya ke buland pahaar
nahin? Kia Shaitan ko jis zameen se kharij kiya gaya aur jahan par wo apni tamam
Shaitani quwwaton samet laut aaya wo Sarzameen-e-Hind nahin? Kyon Hind aaj bhi
jaadu, tauhommat aur karamat ki sarzameen hai? Saanp, jise Shaitan ne apne husoole-
maqsad keliye mu'attabar zarya samjha wo aaj bhi Hindustan mein pooje jaate hain.
Saanp ki rasaai kaheen ho na ho Shiva tak to thee jinki gardan mein ye para nazar
aata hai? (See all the Emblems of Lord Shiva) Kyon Moosa isko khoonte par latka
kar Ahl-e-Yahood ke saamne isko Nishan-e-Ibrat banata hai? (The Book of Numbers
21: 8, 9) Kyon Moosa ka sahara, yaani unki laathi, Saanp mein tabdeel hoti thee aur
hath, jo use istemal karta tha, Noor mein? Arab ke jis ilaaqe mein Khuda ka Pehla
Ghar, Khanaa-e-Kaabah, hai, uska naam 'Sheba' tha. Kia ye 'Shiva' nahin? (The
Books of Genesis 21:14; of Isaiah 60: 6,7) Kia Ibrahim a.s se shuroo hone waali
mardana rasm, Sunnat, Shiva-Pooja yaani 'Phallus-cult' ka nateejah nahin?
Bataye ke Moosa ne Allah ko kahan bolte suna, Noor mein ya Shiva ki taaqat Naar
mein?
Qudrat har kaam ki ibteda sirf Paak Naam hi se nahin balke Paak Waqt aur
Muqaam se bhi karti hai. Na sirf Khudai ilm ke aasaar balke duniyawi uloom ki
ibteda bhi Sarzameen-e-Hind se hoti hai jiska suboot hai Zaban-e-Sanskrit jisne
tamam zabanon ko janam diya, pehli taraqqi-yafta tehzeeb Arya Samaaj, Ilm-e-
Falsafah, Ginti (Numerals, Digits) aur Ilm-e-Funoon khaskar Fan-e-Tameer, Naqqashi,
Dastkaari aur Mauseeqi hai. Kia aap nahin socheinge ke har aik baat ki ibteda Hind
kyon hai? Kia iske pas-e-pusht Khudai Hath nahin?
Aakhir Hindu maz'hab ke
azeem-tareen Devta Brahma, Vishnu aur Shiva ki haqeeqat kia hai? Ye kaun hain
jinka Noor samaawat mein azl se maujood raha? Kaun maanega ke Brahma, is Maddi
dunia mein Vishnu aur Shiva ko janam dene wala, tamam mubarak qaumon ko paida
karne wala, koi aur nahin Ibrahim hai jisne qaum-e-Hunood, Yahood, Nasara aur
Muslim ko janam diya? Kaun samajhna chahega ke Rig-Ved ke zarye Manaasik-e-
Ibaadat sikhaane wala koi aur nahin Ibrahim hi hai? (Qur'anic Ref 2:128) Kaun
tafakkur karega ke Sma-Ved, jo El (Khuda) keliye Geet sikhaati hai, Ibrahim ke
betay Isma-il se mansoob hai? Kaun soch sakega ke 12 Jyotir Linga (12 Pathhar
yaani Shiva-lingam jo Hindustan mein 12 mukhtalif mandiron mein nasb hain)
Isma'il ke 12 beton ki tamseel hain aur Himaliya mein rakha 12-wan 'Kedar-nath'
Muhammad aur Mahdi ke Jadd-e-Amjad 'Kedar' ki? (Biblical Ref. The First Book of
Chronicles 1:29-31; cf. The Book of Isaiah 42:9-13; 60: 5-7) Kaun maanega ke
Vishnu, Maaddi Qawaaneen par hukumrani karne wala, tamam duniya ka Badshah,
Khatam-un-Nabiyyeen ka asmaani Roop hai? (The Gospel of John 14:30) Kia Qaume-
Muslimeen kabhi ye maan paayeigi ke Hinduon ke aakhri Ma'ood Mahadev jinke
wo muntazir hain unhi ke muntazar Mahdi hain jinka muqaam Hind tha aur rahega?
Haqeeqatein parde mein kab tak raheingi? Aakhir kab tak?
****************END****************
|