Meri daastan-e-hasrat wo suna suna ke roye
Mere aazmaane waale mujhe aazmaake roye

Koi aisa ahl-e-dil ho ke fasanaa-e-muhabbat
Main use sunaa ke roun wo mujhe suna ke roye

Teri be-wafaaiyon par teri kaj-adaaiyon par
Kabhi munh chhupa ke roye kabhi sar jhuka ke roye

Kaheen sar-ba-raaste mein wo milein to unse kehna
Main udaas hoon akela mere paas aa ke roye

Jo sunayee anjuman mein shab-e-gham ki aap-beeti
Kuchh roke muskuraye kuchh muskura ke roye

Mere pass say guzar kar mera haal tak na poocha
Main ye kaise maanloon ke wo door jaa ke roye

Meri aarzoo ki dunia dil-e-natawan ki hasrat
Jise kho ke shaadman thee use aaj paake roye